Skip to main content

A tribute to all rape victims


Maa aaj muje aane me jara der ho jaegi,
Pata nhi aaj kudrat muj par kesa qahar dhayegi.
Maa yahan raste pe ghana andhera hai,
Samne ek bijli ke pole ko logo ka ghera hai.
Maa unhe dekh kar mera ji ghabra raha,
Aaspaas to koi aur hai hi nahi yaha.
Dabe paao mai aage badhi jaa rahi hoon,
Bas agle mod pahuch jaaoon mann hi mann mana rahi hoon.
Khuda ka shukra hai, ghar saamne hi dikh raha hai,
Par yeh kya koi mera peecha kar raha hai.
Maa tu jara chaukhat pe aa jaa,
Thodi himmat bandh jaegi,
Jane yh insaniyat aaj kesa kahar dhaegi.
Shayad  peechha karne wala bhi agne ghar ja rha hoga,
Yahi soch kar m dil ko tassali de rahi hoon,
Par chehre se tapakte paseene k beech mann hi mann ro rahi hoon.
Maa ab to yeh aage aa ke mera rasta rok raha hai,
Abhi samne dikhne wala mera ghar jane kaha hai.
Muje jaane do bhai esi mene fariyad ki,
Mann hi mann mene isht dev ki shakal yaad ki.
Saamne khada rakshas mujh par dahad maar kar hasa,
Uski bhayanak kaya dekh kar mera garv dharti me dhasa.
Maa ab yeh muje utha kar jane kahan le jaa raha hai,
Mere deh ka bojh ab mujse saha nahi jaa raha hai.
Mere muh par kagaj ki rui bhar isne mere awaj ko khamosh kar diya,
Maa ab mai age nhi bata paungi ki isne mere sath kya kiya.
Kuch der to meri ruh ne sab saha fir tut gayi,
Pata nahi kab mai behoshi ke aagosh  me sama gayi.
Subah jab aankhein kholi,
Mai ek veerane me padi thi.
Deh pe naa ek kapda, dhoop saamne khadi thi.
Wo haivan apna kaam kar ke chala gaya,
Apni havas ki pyaas ko meri jindagi se bujha gaya.
Maa mera ang ang toot raha hai,
Jese is jivan se ab mera saath chhot raha hai.
Tuje shayad ab mai nahi dekh paungi,
Teri god me fir apna sar nahi rakh paungi.
Maa aapki laadli beti ab aur nahi ji paegi,
Ab mar ke hi shayad meri atma dhul paegi.
Maa mai aapse bahut pyaar karti hoon,
Saamne pade is kaanch k tukde se ab mai apna jivan samapt karti hoon.

Comments

Popular posts from this blog

Rikshewala Ameer Ho Gaya Ek din ek rikshewale k ghar pe sarkari babu aye, Adhe tute huye darwaje ko jor se khatkhataye Rikshawala dauda-dauda aya, aur sankal hatayi, Dekh kar samne suit-boot wale babu, uski buddhhi chakrayi. Usne socha ki ye shayad koi survey karne aye hai, Ya bachho ko polio ki do boond pilane aye hai. Bade aadar se usne unhe andar bulaya, Andar tooti mej aur fati chatayi dekh sarkari babu jhallaya. Bola hum baithne nahi aye hai, Bus tumse kuch sawal karne aye hai. Yeh sun ke rikshawala ghabraya, Socha ye kesa sankat hai aya. Babu ne pucha, ghar me kitne log hai, Sabhi maujud h yahan, yeh bhi kya kam sanyog hai. Babu ne charo taraf najar daudayi, To teen bachhe aur yeh h tumhari lugayi. Rikshewale ne sir hilakar hami bhari, Aur ek budhi ma hai jo khat par h padi. Babu ne pucha, mahine m kitna kama leta hai, Mai-baap mahine ka nahi, hamara to din bhar ka theka hai. Achha to din m kitna kama leta hai, Malik yeh to is par
A blind man in the bus stop. That was a sunny day, a Monday morning with sweet zephyr, The bus stop crowded with the white collared people, the color going well with the weather. To the corner of the stall there stood a man with stick in his hand, Eyes blindfolded as if harry potter wielding his magic wand. He waited for a while then tried crossing the road,   Taking one step front and two back as a hopping toad. I looked at him silently, as a passive onlooker, I had to reach my place and play snooker. The blind man called people and pleaded them, Help me cross the road and get over this mayhem. I thought helping him, then decided against, Remembering the morning news that gave me  a bad taste. A blind man snatching a woman's chain made into page six, What to do or not, i was in a fix. Thinking deeply into the matter I got lost, Peasants came and gone ignoring the unfortunate chap, I couldn’t blame others as i too didn’

Wo to abhi bachha hai

Jab wo chaar saal ka tha, Usne laddoo churaye. Maana wo ladakpan tha, Fir bhi use maa-baap na samjhaye. Bole wo toh man ka sachha hai, Wo to abhi bachha hai. Aath ki umar mein baap ka batua le uda, Batuye ki rakam se dosto ko film dikhayi Guthke cigarette ke liye, Chori se ki kamayi. Pata chalne par maa-baap bole, badi harkat nhi ki yeh achha hai, Sambhal jaega wo, abhi to wo bachha hai. Chaudah ki umar me, attempt to murder mein jail gya, Uska shikar hua balak, apni ek ankh se gya, Bal sudhar mein kuch waqt bita ghar pe uske kadam pade, Jang jeeti ho jese, ese maa-baap ro pade. Sambhal lo ise jab tak ghada kachha hai, Jawab mila, kya jarurat hai abhi to wo bachha hai. Aaj satrah ki umar me usne ek naari ki aabru h looti, Kaanp jae rooh esi darindagi hai failayi, Haivaniyat ke is kaand pe na baap dapta na maa chillayi, Kaanoon ke hath bandhe hai, kyuki yeh kanoon luchha h, Jo is par bhi kehta hai, use saja nhi ho sakti wo to abhi bachha h.